Lyrics of famous Jagjit Singh songs

Home   Profile   Photo Gallery   Album List   Related Sites   Contact us

Aap Ko Dekh Kar

Chupke Chupke Raat Din

Jhuki Jhuki Si Nazar

Koi Ye Kaise Bataaye

Aap Ko Dekh Kar

Aap ko dekh kar dekhta reh gaya
Aap ko dekh kar dekhta reh gaya
Kya kahoon or kehne ko kya reh gaya
Aap ko dekh kar dekhta reh gaya

Unki aankhon se kaise chhalakne laga
Unki aankhon se kaise chhalakne laga
Mere hoton pe yoon majra rah gaya
mere hoton pe yoon majra rah gaya
Aap ko dekh kar dekhta reh gaya

Aise bichhde sabhi raat ke mod par
Aise bichhde sabhi raat ke mod par
Aakhri hum safar rasta rah gaya
Aakhri hum safar rasta rah gaya
Aap ko dekh kar dekhta reh gaya

Soch kar aao hue tamanna yahi
Soch kar aao hue tamanna yahi
janeman jo yanha rah gaya, rah gaya
janeman jo yanha rah gaya, rah gaya
Aap ko dekh kar dekhta reh gaya                     TOP

Chupke Chupke Raat Din

Chupke chupke raat din, aansu bahana yaad hai
Chupke chupke raat din, aansu bahana yaad hai
Humko ab tak, aashqui ka, wo jamana yaad hai

Tujhse kuchh milte hi wo, bebaak ho jana mera
Or tera daaton mein wo, ungli dabana yaad hai

Kheench lena wo mera, parde ka kona daffatan
Or duppatte se tera, wo munh chhupana yaad hai

Dopahar ki dhoop mein, mere boolane ke liye
Wo tera kodhe pe, nange paanv aana yaad hai

Chupke chupke raat din, aansu bahana yaad hai
Humko ab tak, aashqui ka, wo jamana yaad hai        TOP

Jhuki Jhuki Si Nazar

Jhuki Jhuki si nazar, bekaraar hai ki nahi
Jhuki Jhuki si nazar, bekaraar hai ki nahi
Daba daba sa sahi, dil mein pyaar hai ki nahi
Jhuki jhuki si nazar

Tu apni dil ki jawan dhadkano ko, gin ke bata
Tu apni dil ki jawan dhadkano ko, gin ke bata
Meri taranh tera dil, bekaraar hai ki nahi
Daba daba sa sahi, dil mein pyaar hai ki nahi
Jhuki jhuki si nazar

Wo pal ke jisme mohhabbat, jawan hoti hai
Wo pal ke jisme mohhabbat, jawan hoti hai
Us ek pal ka tujhe, intazar hai ki nahi
Daba daba sa sahi, dil mein pyaar hai ki nahi
Jhuki jhuki si nazar

Teri ummed pe thukra raha hoon, duniya ko
Teri ummed pe thukra raha hoon, duniya ko
Tujhe bhi apne pe ye etbaar hai ki nahi
Daba daba sa sahi, dil mein pyaar hai ki nahi
Jhuki jhuki si nazar                                 TOP

Koi Ye Kaise Bataaye

Koi ye kaise bataye ki, wo tanha kyon hai
Wo jo apna tha wohi, Or kisi ka kyoon hai
Yahi duniya hai to phir, aisi ye duniya kyoon hai 
Yahi hota hai to aakhir yahi hota kyoon hai

Ik zara haath bada de to, pakdle daaman
Uske seene mein sama jaye, hamari dhadkan
Itni Kurbat hai to phir, faasla itna kyoon hai

Dile barbaad se nikla nahi, ab tak koi
Ik loote ghar pe diya karta hai, dastak koi
Aas jo toot gayi, phir se, bandhaata kyoon hai

Tum masarrat ka kaho ya, ise gum ka rishta
Kehtein hai pyaar ka rishta hai, janam ka rishta
Hai janam ka rishta jo ye to, badalta kyoon hai      TOP

Copyright © 2001 [Mukcon]. All rights reserved. Revised: November 14, 2001.Site created and Maintained by: Mukesh Chaurasia